Chalo Mushkil sahi lekin Guzara kar liya jaye..!
Bhula kar us ko bas jeenay ka chara kar liya jaye..!
Kitaab-e-ishq mein Aisa nahin Qulya jisay parh kar..!
Teri mehfil mein Dushman ko gawara kar liya jaye..!
Andhairi raat mein tanha safar karna nahin acha..!
Safar mein humsafar koi dobara kar liya jaye..!
Musalsal ghum uthany say ye hi behtar hai agar samjho..!
Kinara karnay walon se kinara kar liya jaye...!!



0 comments:
Post a Comment