Muhabat mustaqbil gham hai,Muhabat gham ka gehwara
Jo Aansu rang lay aaye wo hi Daman ka sha paarah...
Jisay armaan ka khoon day kar banam e aarzu seencha
Khuda janay kahan hai wo jahan e zindagi Aara
Mera zoq e kharidari hai ik jins e giraan maya
Kabhi phulon ki shaidai kabhi kaanton ka banjaara
Jahan munsab attaa hotay hain bay fikr o firasat bhi
Wahan har justaju jhuti wahan har Azm nakaara
Basaa Oqaat chu laity hai daman kabreyai ka
Tumhari jambish e abru meri takhleeq awaara
Na janay mahtasab kiun maikaday ka naam daitay hain
Jahan kuch aadmi kartay hain apnay dard ka chaarah
0 comments:
Post a Comment