Pages

Tuesday 27 December 2011

Saaqi ki ik nigaah k afsaanay ban gaye


Saaqi ki ik nigaah k afsaanay ban gaye
Kuch phool toot kar marnay paimaanay ban gaye...
Kaati jahan tasawur e janaan mein aik shab
Kehtay hain log us jaga but khaanay ban gaye
Jis par na saaye zulf e ghazalaan k parr sakay
Ehsaas ki nigaah mein veeraanay ban gaye
Jo pi sakay na surkh labon ki tajaliyan
Duniya k tajurbaat say anjaanay ban gaye
SAGHAR wo hi muqaam hai ik manzil e FARAZ
Apnay bhi jis muqaam pay baigaaanay ban gaye.

0 comments:

Post a Comment