Pages

Tuesday 27 December 2011

Nazar nazar bayqaraar si hai


Nazar nazar bayqaraar si hai Nafs pur israar hai
Mein janta hoon tum na aao gay phir bhi kuch intzaar sa hai...

Mere azeezon,mere rafeeqon koi naii dastaan chairo
Gham e zamana ki baat choro ye gham to ab saaz gaar sa hai
Wo hi fasurdah sa rang mehfil wo hi tera ik aam sa jalwa
Meri nigaahon mein bas raha tha meri nigahon mein bas raha hai
Kabhi to aao,kabhi to baitho,kabhi to daikho,kabhi to pucho
Tumhari basti mein hum faqiron ka haal kiun so gawaar sa hai
Chalo k jashn e bahaar daikhain chalo k zarf e bahaar jaanchain
Chaman chaman roshni hui hai kali kali nikhaar sa hai
Ye zulf bardosh kon aaya hai ye kis ki aahat say gul khilay hain
Mehek rahi hai fizaaye hasti tamam aalam bahaar sa hai

0 comments:

Post a Comment