Akailay chor jatay ho ye tum acha nahi kartay
Humara dil jalatay ho ye tum acha nahi kartay...
Kaha bhi tha muhabbat hai muhabbat hi isay rakho
Tamasha jo banatay ho ye tum acha nahi kartay
Uthatay ho hamain sar e mehfil falak tak lekin
Utha kar jo giratay ho ye tum acha nahi kartay
Koi jo pooch lay tum say k rishta kya hai ab un say
To nazron ko jhukatay ho ye tum acha nahi kartay
Bikhar jayen andheron mein sahara tum hi detay ho
Magar phir chor jatay ho ye tum acha nahi kartay.



0 comments:
Post a Comment