Biknay say to shayad mujhay inkaar nahi tha
Ye baat alag hai koi kharidaar nahi tha...
Samajhata usay farq mein kya zulm o wafa mein
Jab us ki nazar mein koi mayyar nahi tha
Har ghoont Ghum e Dil ka piya main nay akelay
Ilzaam meri izzat pay sub us nay lagaya
Jis shakhs ka apna koi kirdaar nahi tha
Yaar kaheen logon ki khata na ho shaamil
Main itni sazaon ka to haqdaar nahi tha……



0 comments:
Post a Comment