Hijr k mosam mein ye barish ka barasna kesa?
Ik sehra se samundar ka guzarna kesa?...
Aye mere dil pareshan na ho tanha ho kar,
Wo tere saath chala kab tha bicharna kesa?
Log kehtay hain gulshan ki tabahi dekho,
Main ti veeraan sa Jungle tha ujarna kesa?
Dekhnay mein to koi dard nahi dukh bhi nahi,
Phir ye ankhon mein ashkon ka ubharna kesa?
Bewafa kehnay ki jurrat bhi na karna us ko,
Sahil
Us ne Iqrar kia kab tha mukarna kesa?



0 comments:
Post a Comment