Pages

Sunday, 4 December 2011

Honay lagi hai tum say muhabbat


Honay lagi hai tum say muhabbat  Usay kehna
Lagta hai har aik lamha qayamat Usay kehna...

Milna to door tum say meri jaan e tamanna
Hai daikhna bhi tum ko ibadat Usay kehna
Itni bhi muhabbat mein sakhawat nahi achi
Hai piyar ka tohfa  Usay kehna
Dil pehlay hi iqraar ki sooli pay khara hai
Daalo na intezar ki aadat Usay kehna

0 comments:

Post a Comment