Pages

Friday, 2 December 2011

Janay nashay mein k wo aafat e jaan khwab mein tha


Janay nashay mein k wo aafat e jaan khwab mein tha
Jaisay ek fitna bedaar rawaan khwab mein tha...

Wo sar e sham samundar ka kinara tera sath
Ab to lagta hai jaisay ye samaan khwab mein tha
Jaisay yaadon ka dareecha koi waa reh jaye
Ek sitara meri janib e nigraan khwab mein tha
Jab khuli aankh mein tha meri tanhai thi
Wo jot ha qafla e humsafraan khwab mein tha
Aisay qaatil ko koi haath lagata hai
            FARAZ
Shukr kar shukr k wo dushman e jaan khwab mein tha

0 comments:

Post a Comment