Koi Ghazzal suna kar kia karna Yoon baat barha kar kia karna...
Tum mere thay tum mere ho duniya ko bata kar kia karna
Tum ehed nibhao chahat se koi rasam nibha kar kia karna
Tum khafa bhi achay lagtay ho phir tum ko mana kar kia karna
Tere dar pea a kar bethay hain ab ghar bhi ja kar kia karna
Din yaad se acha guzarta hai phir tum ko bhula kar kia karna



0 comments:
Post a Comment