Pages

Friday, 2 December 2011

Mein mar mita to wo samjh k inteha thi meri


Mein mar mita to wo samjh k inteha thi meri
Usay khabar hi na thi ye khaak e keemiya thi meri...

Mein chup hua to wo samjh k baat khatam hui meri
Phir us k baad to awaz ja beja thi meri
Jo taana zan tha meri poshish e dareeda par
Usi k dosh pe rakhi hui Qaba thi meri
Mein us ko yaad karun bhi to yaad ata nahi
Mein us ko bhool gaya hun ye hi saza thi meri
Shikast de gaya apna ghuroor hi usay
Warna us k muqabil basaat kia thi meri
Kahin dimagh kahin dil kahin badan hi badan
Har ik se dosti yaaari juda juda thi meri
Koi bhi koh e muhabbat se phir nahi guzra
To shehar e ishq mein kia aakhri sada thi meri?
Mein us ko dekhta rehta tha hairton se
         FARAZ
Ye zindagi se taaruf ki ibteda thi meri

0 comments:

Post a Comment