Pages

Sunday, 4 December 2011

Meray wajood mein wafa ki


Meray wajood mein wafa ki roshni utaar day
Phir itna piyar day k mujhay chahaton mein maar day...

Bohat udaas  tha so uth k teray paas aa gaya
Kuch aisi baat kar jo dil ko chain day qarar day
Suna hai teri ik nazar sanwarti hai zindagi
Jo ho sakay to aaj meri zindagi sanwar day
Aye mahtab tu kabhi jo mera chaand daikh lay
Qasam khuda ki tu apni jaan bhi is pay waar day
Mera asasa e hayat chin gaya hai dosto
2,4 din ki zindagi koi mujhay udhaar day
Khushi  naseeb  mein nahi to shaam e ghum hi  day mujhay
Ye kab kaha k tu mujhay ghulab day bahaar day
Mujhay kisi k ishq nay bana diya hai neer e jahan
Dua karo khudaya ye ghum tumhe bhi ik baar day  

0 comments:

Post a Comment