Pages

Friday, 2 December 2011

Na manzilon ko na raah e guzar


Na manzilon ko na raah e guzar ko dekhtay hain
Ajab safar hai k bas humsafar ko dekhtay hain...

Na pooch jab wo guzarta hai be niyazi se
To kis malaal se hum naama bar ko dekhtay hain
Teri Jamaal se hat kar bhi ek duniya hai
Ye sair e chasham magar kab idhar ko dekhtay hain
Ajab fasoone kharidar ka asar hai k hum
Usi ki aankh se apnay hunar ko dekhtay hain
Koi makaan koi zindaan samajh k rehta hai
Talsam khaana diwar o dark o dekhtay hain
Wo be khabar meri ankhon ka sabar bhi dekhain
Jo tanz se mere daaman e tar ko dekhtay hain
Ye jaan kuni ki gharry theher gai hai ya hum
Kabhi qaza ko kabhi charahgar ko dekhtay hain
Hamari dar be dari ka muaajra hai k hum
Musafiron ki tarha apnay ghar ko dekhtay hain

0 comments:

Post a Comment