Sabhi jazbaat khyalat badal jatay hain
Yun muhabat mein ye din raat badal jatay hain...
Piyar to un ko bhi hum hi se hai magar janay kiun
Hum karain baat to wo baat badal jatay hain
Aarzu to hai k izhaar e muhabat kar dun
Lafz chunta hoon to lamhaat badal jatay hain
Kitni nafrat thi pehlay ehl e muhabat se
Ho muhabat to khyalat badal jatay hain
Aik sa waqt muhabat mein kahan rehta hai
Gardish e waqt se halaat badal jatay hain.



0 comments:
Post a Comment