Us ki aankhon ko kabhi ghor say daikha hai
Sonay walon ki tarha jaagnay walon jaisi hain...
Usay kehna k palkon pay na taanay khawab ki jhalar
Samandar k kinaaray ghar bana kar kuch nahi milta
Fakat tum hi say karta hoon main saari raaz ki baatain
Har aik ko dastan e dil suna kar kuch nahi milta
Mujhay aksar sitaaron say ye hi aawaz aati hai
Kisi k hijr mein ganwa kar kuch nahi milta jigar ho jaye ga chalni
Ye aankhain khoon royen ge
Wasi befaiz logon say wafa nibha kar kuch nahi milta



0 comments:
Post a Comment