Uth uth k kisi ka intezar kar k daikhna
Kabhi tum bhi kisi say piyar kar k daikhna...
Kesay toot’tay hain muhabbaton k rishtay
Zara tum bhi ghaltiyan 2,4 kar k daikhna
Zindagi ka falsafa samajhna ho to
Barish mein kachi deewar khari kar k daikhna
Nafrat ho jaaye gi tum ko bhi duniya say
Muhabbat kisi say beshumar kar k daikhna



0 comments:
Post a Comment