Wo jo aa jatay thay aankhon mein sitaray lay kar
Jaanay kis dais gaye khwab hamaray lay kar...
Chaaun mein bethnay walay hi to sab se pehlay
Pairh(tree)girta hai to aa jatay hain aaray lay kar
Wo jo aasooda saahil hain unhain kia maloom
Ab k moaj aye gi to paltay gi kinaray lay kar
Aisa lagta hai ye har mosam e hijraan mein bahaar
Hont rakh deti hai shaakhon pe tunharay lay kar
Sheher waalon ko kahan yaad hai wo khwab farosh
Phirta rehta tha jo galiyon mein ghubaray lay kar
Jahan jayen bana laitay hain hum apni jaga
SAGAR
Ab jo zinda hain to kuch saans udhaaray lay kar



0 comments:
Post a Comment