Zamaanay mein bhi dhoondo gay to hum sa ho nahi sakta
Hum to sada usay hi chaahtay hain jo apna ho nahi sakta...
Bohat ujra hua dil hai apna magar apna aqeeda hai
Jahan mehkain teri yaadain wo sehra ho nahi sakta
Kisi ki yaad abhi tak meray bistar mein soti hai
Shab e Tanhai say keh do main tanha ho nahi sakta
Kuch to apni bhi khataayen thein waba e zindagi mein
Sub hi kuch to muqaddar ka likha ho nahi sakta
Juda ho k bhi dono jee rahay hain
MOHSIN
Kabhi dono hi kehtay thay k aisa ho nahi sakta…………….



0 comments:
Post a Comment