Kabhi mushkilon ka tha samna kabhi rahaton mein guzar gaye
Wo jo din thay meray shabab k teri chahton mein guzar gaye...
Teri justuju mein rawaan dawaan kabhi sung thay kabhi kehkashan
Wo din bhi kitnay haseen thay jo musaafton mein guzar gaye
Kabhi raazdan nay sitam kiya kabhi main raqeeb say ja mila
Kabhi dil gaya kabhi jaan rooh badan say mikal gai
Wo jo lamhay thay piyar k wo shikayaton mein guzar gaye
Main shikwa nahi karta lab see laita hoon
Jis haal mein bhi hoon bus jee laita hoon
Ik baar jo thaam loon kisi dost ka haath phir us haath say zehar bhi pee laita hoon.



0 comments:
Post a Comment