Kabhi tum bhi aa k daikho ye manzar shaam say pehlay
ye lab kesay laraztay hain tumharay naam say pehlay...
nahi mumkin main raah e shoq say waapis palat jaaun
parinday to nahi lotay kabhi ghar sham say pehlay
nahi maloom kab say hai taaluq ustawaar apna
tumhara aks tha dil mein tumharay naam say pehlay.



0 comments:
Post a Comment